Apni Aulad Ko Bad Dua Na Den | Islamic Quotes
Description:
Kuch log kisi museebat ky any par ya koi ghalat kam ho jany par Allah ki zaat sy mayus ho kar khud ko ya apni aulad ko bad duaen deny lag jaty hen. Is hadees mein aisy logon ko apny is fail sy mana kia gaya hai. Kion ky hum insan nahi janty ky kon sa waqt qabooliyat ka hai aur kon sa nahi. Agar hum ny usi waqt khud ky liye bad dua ki aur wo waqt hua bhi qabooliyat ka to humara apna hi nuqsan ho ga na. Kion ky us waqt jo dua ya bad dua mangi gai hai wo Allah pak ny puri karni hai. Jab hum apny hi haq mein bad dua kar rahy hen to kisi dusry sy kia tawaqu kar sakty hen ky wo humary haq mein dua kary ga. Hum khud ky liye bad dua kar ky apna hi nuqsan karty hen kisi aur ka to kuch na bigry ga na kisi ko kuch farq pary ga. Is liye apny liye, aulad ky liye, apny khadimon ky liye aur apny maal ky liye zindgi mein kisi bhi lamhy bad dua nahi karni chahye.
Apni Aulad Ko Bad Dua Na Den | Islamic Quotes
Muhammad S.A.W.W. Quotes:
Jabir r.a. sy riwayat hai ky Nabi Kareem s.a.w.w.
ny irshad farmaya: "Apny ap ko bad dua na do, na
apni aulad ko bad dua do, na apny khadimon ko bad
dua do aur na apny maal ko bad dua do. (Kion ky)
ho sakta hai ky Allah Subhan Wa Taala ki taraf sy
wo ghari aisi ho jis mein duaen qabool hoti hon
aur yun tumhari bad dua qabool ho jaye.
No comments