Breaking News

Fazail Surah Mulk In Urdu | Quranic Quotes

Description:
Allah Taala ky Rasool s.a.w.w. ny Quran parhny ki bohat fazeelat batai hai aur farmaya hai ky qayamat ky din Quran apny parhny waly par saya kary ga jab koi bhi saya nahi ho ga. Aur is hadees mein khas kar surat mulk ki fazeelat bayan ki gai hai ky Surah mulk aik aisi surah hai jo banda isy parhta hai qayamat ky din us ki maghfirat ki sifarish karti rahy gi jab tak Allah pak us bandy ko muaf na kar den gy. Dosto ye to sirf aik surah ki fazeelat hai socho pura quran parhny ky kia kia fazail hon gay. Quran ko parho aur apny darjat buland karwao. Dosto aj sy tahaiya kar len ky rozana quran ka aik rakoo lazmi parhna hai. Is sy sal mein 2 quran khatam ho jayen gy aur kitni fazeelat mily gi aur Allah pak humen maghfirat bhi farma den gy.

Fazail Surah Mulk In Urdu | Quranic Quotes


Rasool Allah S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Quran mein 30 ayaat wali aik surat hai, wo (apny
 parhny waly) aadmi ki sifarish kary gi hatta kay
 us ki maghfirat kar di jaye gi, wo surat Tabarak
 allazi biadihil mulk (surat mulk) hai.


No comments