Breaking News

Maghfirat Ki Dua For Dead | Quotes In Islam

Description:
Aik mash'hoor qoul hai ky jo shakhs dusron ky liye dua karta hai usy kabhi khud ky liye dua nahi mangni parti. Kion ky jab wo dusron ky liye dua karta hai to Allah pak usy bhi ata karty hen jis ky liye wo dua karta hai aur khud usy bhi wo cheiz ata kar dety hen. Is quote mein Nabi s.a.w.w. ny dusry momineen ki maghfirat mangny ka zikar karty huye farmaya ky  jis jis ky liye wo duaye maghfirat kary ga us har aik momin mard aur aurat ky badly usy aik naiki mily gi. Ap dekhye ky khum ny koi amal nahi kia na pesa kharch kiya na mehnat ki na kahin jana para, bas bethy bithaye dusron ky liye maghfirat mangi aur apny darjat buland ho gaye. Musalmanon ko aik dusry ky liye dua karni chahiye ta ky un ki pareshanian aur mushkilat kam hon aur un mein baham achy taluqat wabasta hon.

Maghfirat Ki Dua For Dead | Quotes In Islam


Nabi Akaram S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Jo shakhs iman waly mardon aur iman wali auraton
 ky liye maghfirat talab karta hy to Allah Subhan
 Wa Taala us ky aamaal namy mein har momin mard
 aur aurat ki taraf sy aik naiki likh daity hen.

1 comment: