Allah Ky Mehboob Tareen Amal | Best Islamic Quote
Description:
Allah ky Rasool s.a.w.w. ny farmaya wo log sab sy behtareen hen jo logon ki madad karty hen, un ky kam aty hen, un ki takaleef ko kam karty hen ya kam karny ka zarya banty hen. Kisi musalman ko khana khilny ka bohat sawab hy aur farmaya ky ye un kamon mein sy hy jo Allah ky han mehboob amal hen. Musalman aksar o baishtar qarzy mein dooby rehty hen agar koi maldar musalman sirf raza e ilahi ki khatir un ka wo qarz ada kar dy to wo us musalman ko aik qism ki pareshani sy azad kar dy ga aur ye amal Allah ko bohat mehboob hy ky us ki makhlooq ko pareshani o takleef sy koi insan chutkara dilaye.
Allah Ky Mehboob Tareen Amal | Best Islamic Quote
Quote Of The Day:
Abdullah bin Umer r.a. sy riwayat hy ky aik shakhs
ny Rasool Allah s.a.w.w. sy dariyaft kia: "Ya
Rasool Allah s.a.w.w.! Kon log ya kon sa amal
Allah ko zayada mehboob hy?
Rasool Allah s.a.w.w. ny irshad farmaya: "Allah ki
nazar mein mehboob tareen log wo hen jo logon ko
zayada nafa pohnchany waly hon aur mehboob
tareen amal wo khushi o rahat hy jo tum kisi
musalman ky dil ko pohnchao ya us ky gham ko
zayal karo ya us ka qarz ada karo ya
us ki bhook mitao.
No comments