Aehl o Ayyal Ki Khidmat | Quote Of Nabi S.A.W.W.
Description:
Ghar ky kaam kaaj karna sunnat e Rasool s.a.w.w. hy. Magar aj ky zayada tar parhy likhy log ghar ky kaam karny ko apni toheen samajhty hen. Aur khud ki taaleem aur rutby par fakhar karty hen. Kia un ki taaleem un ka rutba Nabi s.a.w.w. sy barh kar hy? Har giz Har giz nahi mery dosto. aehal o ayyal ki khidmat karny sy insan ki shan mein koi kami nahi hoti bal ky Allah ky nazdeek us ky darjaat buland hoty hen. Us ky ghar walon ko us sy sukoon pohanchta hy. Aehl o ayyal ki khidmat Nabi s.a.w.w. ki sunnat hy jis per amal kar ky hum nijat hasil kar sakty hen. Kion ky Nabi s.a.w.w. ki har sunnat apnana humara deeni fareeza hy.
Aehl o Ayyal Ki Khidmat | Quote Of Nabi S.A.W.W.
Hadees e Rasool S.A.W.W. Hy:
Aswad bin yazeed rh.a. farmaty hen ky main ny
ayesha r.a. sy pucha ky Rasool allah s.a.w.w. apny
ghar mein kia umoor sir anjaam dia karty thy?
Aap r.a. ny batlaya ky " Rasool allah s.a.w.w. apny ghar
ky kaam kaaj yani apny ghar walon ki khidmat kia karty
thy aur jab nimaz ka waqt hota to foran (kaam kaaj
chor kar) nimaz ky liye chaly jaty thy".
No comments