Allah Aur Rasool Ko Razi Karna | Islamic Quotes
Description:
Insan par 2 tarha ky haqooq hoty hain, aik allah ky haqooq jinhen haqooq ullah kaha jata hai aur dusra logon ky haqooq jinhen haqooq ul ibad kaha jata hai. Is quote mein dono haqooq ki pasdari ka nachor bataya gaya hai. Haqooq ullah ka puri tarha haq is tarha ada hoga ky hum Allah ko us ki ibadat ky zariye sy razi karen. Rasool s.a.w.w. ki itaat hi Allah ki itaat hai. Jab hum Nabi s.a.w.w. ki itaat kar len gy to wo hum sy razi ho jaen gy aur agar wo razi ho gaye to Allah Taala bhi hum sy razi ho jaen gy. Aur dusra haq hum aisy ada kar sakty hein ky Allah ki makhlooq ki khidmat karen. Kion ky aik mash'hoor qoul hai ky ibadat karny sy jannat milti hai aur logon ki khidmat karny sy Khuda milta hai. Is liye humen chahiye ky hum ibadat ky waqt ibadat karen aur apny Rab ko razi kar len aur har wo kam karen jo sunnat ho, aur har us kam sy bachen jo sunnat ky khilaf ho, aur jahan kisi bandy ky kam aa saken wahan makhlooq ki khidmat karna humara farz ban jaye.
Allah Aur Rasool Ko Razi Karna | Islamic Quotes
Qoute Of The Day:
> Allah ko razi kar lo ibadat ky sath,
> Rasool Allah s.a.w.w. ko razi kar lo itaat ky sath,
> Makhlooq ko razi kar lo khidmat ky sath.
No comments