Amar Bilmaroof Wanahi Anilmunkir | Daily Islamic Quotes
Description:
Sahib e ikhtiyar log ye baat zehan nasheen kar len ky hakoomat, iqtidar, aur ikhtiarat hamesha nahi rahen gy. Aik na aik din hakoomat, iqtidar aur ikhtiarat hum ny chorny hen ya mout ky farishty ny aa kar hum sy cheen leny hen. Ikhtiyarat ka darust istemal kar ky hum puri qoum ky naik aamaal ka sawab bhi hasil kar sakty hen aur ikhtiyarat ky ghalat istemal sy puri qoum ky gunahon ka wabal bhi apny sir ly sakty hen.
Lihaza hakoomat, iqtidar aur ikhtiyarat ko qudrat ka atiya aur ghanimat samajhty huye puri qoum ko Allah aur us ky Rasool s.a.w.w. ky ahkaam par lany ki koshish karen, deen ko riwaj den aur bedeeni ko khatam karen bilkhasoos in tamam kaamon ka raasta roken jo Allah aur us ky Rasool s.a.w.w. ki narazgi ka sabab hen.
Amar Bilmaroof Wanahi Anilmunkir |
Daily Islamic Quotes
Rasool Allah S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Jis ny islam mein kisi achy tariqy ko riwaj dia
aur us ky bad logon ny bhi is achy tariqy ki pairvi
ki to us shakhs ko sab logon ky sawab ky barabar
sawab mily ga aur logon ky sawab mein bhi koi
kami nahi hogi.
Isi tarha agar kisi ny burai ky kisi tariqy ko riwaj dia
aur logon ny us ky bad us burai ki pairvi ki to
us shakhs ko logon ky gunahon ky barabar
gunah ho ga aur logon ky gunahon
mein bhi kami nahi ho gi.
No comments