Ayyam e Baiz Ky Rozy | Quotes Of Muhammad S.A.W.W.
Description:
Allah ky Rasool s.a.w.w. peer (somwar, monday) aur jumerat (thursday) ka roza rakhty thy, kisi ny pucha ky aey Allah ky Rasool s.a.w.w. ye kia majra hai to aap s.a.w.w. ny farmaya ky peer aur jumerat ky din Allah ky hazoor insan ky aamaal paish hoty hein to main chahta hon ky jab mery aamaal mery Rab ky hazoor paish hon to main rozy sy hon. Aur aik hadees ka mafhoom hai jis ny ayyam e baiz yani har islami mahiny ky darmiani (13,14,15) tareekhon ky rozy rakhy samajh lo us ny sari zindgi rozy rakhy. Kitna Raheem hai mera malik ky har maah 3 din ky rozy rakhny sy puri zindgi rozy rakhny ka sawab deta hai. Is hadees mein farmaya gaya ky sardi ky mosam mein roza rakh lo kion ky sardi ky mosam mein piyas nahi lagti is liye ye thandi aur asan ghanimat hai naikiyan kamany ki. Sardi ky mosam mein roza rakhna asan hai to humein chahye ky peer, jumerat aur ayyam e baiz ky rozy rakhen aur bohat si naikiyan kama lein.
Ayyam e Baiz Ky Rozy | Quotes Of Muhammad S.A.W.W.
Rasool ALLAH S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Thandi (aur aasaan) ghanimat ye hai ky
sardi ky mosam mein roza rakha jaye.
No comments