Charhny Or Utarny Ki Dua | Islamic Quotes
Descripton:
Sunnat e Rasool s.a.w.w. par amal hi ummat e Muhammadiya ki nijat ka rasta hai. Aur Sahaba r.a. ki pairvi bhi sunnat ky mutabiq zindgi guzarny ki daleel hai. Is hadees mein Jabir r.a. ky amal ko wazeh kiya gaya hai jo ky sunnat ky ain mutabiq hai. Unho ny farmaya ky kisi bulandi par jab wo charhty thy to wo Allah o akbar kehty huye charhty thy aur jab kisi dhalaan, neechai ya nashaib mein utarty to Subhan Allah kehty huye utarty thy. Allah ky Rasool s.a.w.w. ny farmaya ky mery sahaba sitaron ki manind hein jis ny in mein sy kisi aik ki bhi pairvi ki to wo falah pa gaya. Is quote mein hamen ye amal aik sahabi ki zubani maloom hua to hamen chahiye ky hum is par amal karen aur falah pa jayen.
Charhny Or Utarny Ki Dua | Islamic Quotes
Bukhari Hadees:
Jabir Bin Abdullah r.a. farmaty hein ky jab hum
(kisi bulandi par) charhty to ALLAH O AKBAR
kehty aur jab (kisi nashaib mein) utarty to
SUBHAN ALLAH kehty thy.
No comments