Ghar Men Dakhil Hone K Adab | Quotes Of Quran
Description:
Islam aik mukammal zabta hayat hai, ye aisa deen hai jis mein insan ki rozana zindgi ky choty sy choty kam sy ly kar bary sy bary kam tak sab ki wizahat kar di gai hai. Jaisa ky insan ka cheenkna, jamai lena, kisi sy salam karna, ye sab choty choty infiradi kam hein in ki bhi ahadees mein mukammal tor par wazahat kar di gai hai. Aur Islami hakoomat kesi karni hai, jihad mein sipa salari ky ahkam, ye sab bary kam hein in sab ka bhi quran o hadees mein mukammal bayan kar dia gaya hai. Bilkul isi tarha kisi ky ghar mein dakhil hony ky aadaab bhi Quran Majeed mein wazeh kar diye gaye hein. Is ayat mein saf hukm hai ky kisi ky ghar mein dakhil us waqt tak na hon jab tak wo ijazat na dy dy aur us ky bad us sy salam na kar lo. Lekin agar koi ijazat na dy to wapis ajana chahiye aur bura bhi nahi man'na chahiye kion ky ho sakta hai us waqt un ky ghar mein koi masla ho. Is liye kisi ky ghar mein dakhil hony ky adab par ghor kar len aur is par amal karen.
Ghar Men Dakhil Hone K Adab | Quotes Of Quran
Quotes Of Quran:
Aey iman walo! Apny gharon ky siwa dusron ky
gharon mein us waqt tak dakhil na ho jab tak ijazat
na ly lo aur un mein basny walon ko salam na kar lo.
Yahi tareeqa tumhary liye behtar hai, umeed hai ky
tum khayal rakho gy.
No comments