Juma Ky Din Qayamat Ka Khof | Quotes About Jumma
Description:
Allah Ky Rasool s.a.w.w. ny juma ky din ki bohat fazeelat bayan farmai hy. Is qoul e Rasool mein juma ko sab sy behtar din bataya gaya hy. Insan aur jinnat ye do aisi makhlooqat hen jin sy Allah Pak ny ghaibi umoor ko posheeda rakha hy. Warna baqi tamam makhlooqat ko Allah ny ghaibi amoor ko jan'ny ki salahiyat di hy jesy ky hadees mein aya hy ky aik bar Nabi s.a.w.w. aik qabristan sy guzry to Nabi s.a.w.w. ka khachar bidka aur ruk gaya tab Sahaba ky arz karny par Nabi s.a.w.w. ny bataya ky ye azab e qabar ki waja sy aagy nahi ja raha. Ap dekhye Sahaba sy barh kar fazeelat mein koi insan ho sakta hy kia? Nahi na lekin unhen bhi azab e qabar ka idrak na hua magar aik janwar ko Rab Taala ny wo salahiat dy di. Isi liye is hadees mein ye bat batai gai ky jumy ky din qayamat paish aye gi to us ky khof ki waja sy sab jandar khofzada hoty hen lekin jin aur insan is sy bekhabar rehty hen.
Juma Ky Din Qayamat Ka Khof | Quotes About Jumma
Juma Quotes:
Abu Huraira r.a. sy riwayat hy ky Rasool Allah s.a.w.w.
ny irshad farmaya: "Sab sy behtar din jis mein
suraj tulu aur ghurob hota hy, juma ka din hy.
Tamam jandar juma ky din (qayamat qayam hony ky
khof sy) sakht ghabrahat o pareshani mein mubtala
ho jaty hen, siwaye jinnat aur insan ky".
No comments