Momineen Ki Siffaat | Best Quranic Quotes
Description:
Allah pak ki kitab Quran majeed mein Allah ny apny momin bandon ki kuch khasoosiyat bayan ki hen. Jin logon mein ye nishaniyan pai jayen wo log momin hen aur Allah ki rehmat ky saye mein hen. Wo nishaniyan kia hen ye humen Quran kareem ki surah toba parh kar malom hot hai. Aye hum ap ko un khasoosiyat ka khulasa bayan kar dety hen. Jo log naiki ka hukm dety hen aur burai sy rokty hen, jo log nimaz ki pabandi karty hen aur zakat wajib hony par bila kisi laag lapait ky puri zakat ada karty hen, jo log Allah aur Muhammad s.a.w.w. ki taleemat par amal karty hen aur us ki na farmani sy bachty hen. Yahi log momin hen jo aik dosry ki madad karty hen. Aur Allah pak akhirat mein in logon ko apni rehmat sy nawazy ga. Dua hai malik e arz o saman sy ky qayamat ky din humen bhi apni rehmat ky saye mein le lena. Ameen ya Rab ul Alameen
Momineen Ki Siffaat | Best Quranic Quotes
Quran Sayings:
Aur momin mard aur auraten apas mein aik dosry
ky madadgar hen. Wo naiki ki talqeen karty hen,
aur burai sy rokty hen, aur nimaz qayam karty hen,
aur zakat ada karty hen, aur Allah aur us ky
Rasool s.a.w.w. ki farman bardari karty hen, ye aisy
log hen jin ko Allah apni rehmat sy nawazy ga,
yaqinan Allah iqtadar ka bhi malik hai,
hikmat ka bhi malik!.
No comments