Mulazim Par Be-Jaa Sakhti | Quranic Quotes In Urdu
Description:
Malik aur nokar ya mulazim ka taluq tareekhi aitabar sy bohat qadeem hy. Allah ky Nabi Shoaib a.s. ny jab Musa a.s. ko apny paas mulazmat par rakha to aik usooli bat bayan farmai ky main tum par by ja sakhti nahi karon ga aur na tumhen takleef o mushaqqat mein dalon ga. Rab Taala ko ye bat itni pasand ayi ky Quran mein is ka zikar farma kar hum sab insaniat ki rahnumai farma di ky apny nokar par kabhi bhi zulm na karna. Bal ky ahsan ky sath paish ana kion ky wo bhi humari tarah insan hoty hen. Wo apni zarorton aur majburion ki khatir humara kaam karty hen to humen bhi chahye ky apny nokar ki mujburion ka na jaiz faida na uthaen bal ky us sy husn e salook sy paish aen aur jitna kaam us ny kia us ki ujrat usy waqt par dy den.
Mulazim Par Be-Jaa Sakhti | Quranic Quotes In Urdu
Shoaib A.S. Quote:
Main chahta hon ky apni in do larkion mein sy
aik sy tumhara nikah kar don, ba shart ye ky tum 8 sal
tak ujrat par mery paas kaam karo, phir agar tum
10 saal pury kar do to ye tumhara faisla ho ga. Aur mera
koi irada nahi ky tum par mushaqqat dalon,
IN SHA ALLAH tum mujhy in logon mein sy pao gy
jo bhalai ka muamla karty hen.
No comments