Nabi SAW Ka Ummat Ki Kasrat Par Fakhar | Islamic Quotes
Description:
Rohbaniyat sy murad dunia ki har aik taskeen har aik lutf sy khud ko baaz rakhna aur goshsa nasheen ho kar sirf Allah ki ibadat mein mashghol rehna. Eisayion ky bohat sy padri(pops) aur sisters(nuns) khud ko Eisa a.s. sy mansoob kar ky dunia dari sy munh mor lety hein aur sirf Eisa a.s. aur Khuda ki ibadat karty hein. Lekin islam mein is sab sy mana kia gaya hai, kion ky Nabi s.a.w.w. ny farmaya ky insan ky jism ka bhi us par haq hai lihaza jism ko be-ja takleef nahi deni chahiye. Aur is quote mein farmaya ky rohbaniyat ki waja sy shadi karna tark na karna bal ky nikah karna zaroori hai kion ky Nabi s.a.w.w. ki ummat ki kasrat ho gi. Aur jis Nabi ki ummat zayada ho gi us ko apni ummat par fakhar ho ga. Isi liye har sahib e istitaat mard aur aurat ko chahiye ky wo nikah kary, aur jo aulad Allah ny un ky naseeb mein likhi hai wo paida kary. Bhok mehngai aur un ki parwarish ky khof ki waja sy apni aulad ko qatal na kary, kion ky sab ka Raziq aik Allah hai.
Nabi SAW Ka Ummat Ki Kasrat Par Fakhar |
Islamic Quotes
Hadees Mubarak:
Nabi Akram s.a.w.w. ny irshad farmaya: " Tum nikah kiya
karo, kion ky main (qayamat ky din) tumhari kasrat
ki waja sy dusri ummaton par fakhar karon ga aur
tum nasara ki tarha rohbaniyat ikhtiyar na karna".
No comments