Naik Biwi Ki Shohar Ko Naseehat | Islamic Urdu Quotes
Description:
Hadees main aya hy ky kisi ny pucha ky aurat par sab sy zayada haq kis ka hy to Allah ky Nabi s.a.w.w. ny farmaya us ky shohar ka. Phir pucha gaya ky aur mard par sab sy zayada haq kis ka hy faramaya gaya us ki maa ka. Humary is qoul mein bhi aik musalman behan ka wateera bayan kia gaya hy ky wo kitni khubsorti sy is hadees par amal paira hen. Jaisy hukm hua hy ky aurat par us ky shohar ka haq hy to wo shohar ki khidmat mein lagi rehti hy aur jaisy hukm hua hy ky mard par us ki walida ka sab sy zayada haq hy to wo apny musalman shohar ko apny pechy nahi lagati na usy apni khidmat par majboor karti hy bal ky us par jis ka sab sy zayada haq hy aur wo haq ada kar ky us ka shohar jannat mein ja sakta hy to wo usy us ka haq ada karny ki targheeb daiti hy. Ky wo apni maa ki khidmat kary, ta ky akhirat mein jab jannat aur dozakh mein jany ka faisla ho to dono mian bv ikathy jannat mein sath rahen. Allah Pak sab behan bhaion ko is hadees ko samajhny aur us par amal karny ki taufiq ata farmaye. Ameen
Naik Biwi Ki Shohar Ko Naseehat | Islamic Urdu Quotes
Quote Of The Day:
Mujhy aap ki itaat o farman bardari jannat mein
dakhil kary gi. Jab ky aap ko aap ki walida ki
itaat o farman bardari jannat mein dakhil kary gi.
Lihaza main aap ki itaat mein lagi rehti hon aur aap
apni walida ki itaat mein lagy rahen ta ky hum
donon jannat mein jama ho saken.
No comments