Zalim Ko Zalim Kahen | Islamic Quotes
Description:
Hadees ka mafhom hy ky Nabi s.a.w.w. ny farmaya ky apny musalman bhai ki humesha madad karo chahy wo mazloom ho ya zalim. Sawal pucha gaya ky mazloom ki madad karna to samajh mein ati hy ky us ko zulm sehny sy bachaya jaye. Lekin zalim ki madad kesy karen. Nabi s.a.w.w. ny farmaya ky zalim ki madad usy zulm sy baaz rakhny mein hoti hy. Aj ky dour mein hum alag alag fiqa alag tabqa alag qoum ky pechy par gaye hen aur ye bhool gaye hen ky dusry tabqa fiqa aur qoum ky log bhi to insan hen. Agar humari zaat biradri ya tabqy ka banda kisi dusry par zulm karta hy to hum usy support karty hen ky khoob aziat do. Jab ky aisa karna oper batai gai hadees ky bilkul manafi hy. Kion ky jo zalim hy us ko zulm sy rokna hi humary pyary Nabi s.a.w.w. ki sunnat e mubarika hy. Khwah koi bhi ho chahy humari zaat biradri ka chahy koi aala afsar ho koi bhi agar wo zulm karta hy to us ka sath har giz na den bal ky us ko zulm karny sy roken.
Meri aap sab logon sy guzarish ky sab sy pehly hum insan hen us ky bad hum sub aik ummat bhi hen to kion in firqon mein bat kar hum aik dusry ka na haq khoon baha rahen hen. Khuda ky liye insaniat ka aehtram karo.
Zalim Ko Zalim Kahen | Islamic Quotes
Quote Of The Day:
Mera taluq aehl e sunnat maktab e fikr sy hy, mery
samny agar koi sunni kisi aehl e tashee par zulm kary
to main aehl e tashee ky sath hon ga aur sunni ko
zalim kahon ga.
Yahi tawaqo main aehl e tashee maktab e fikr ky logon
sy bhi karta hon ky agar un ky samny koi shia kisi
sunni par muzalim ky pahar dhaye to wo mazloom ky
sath khary hon aur zalim ko zalim kahen.
Humen ye bat samajhni chahye ky zalim ko zalim kehna
aur usy zulm sy rokna hi nafraton ko muhabbaton
mein tabdeel kar sakta hy.
No comments