Business In Islam | Karobar-e-Tijarat Ko Shariat Ke Mutabiq
Business In Islam | Karobar-e-Tijarat Ko Shariat Ke Mutabiq
Karobar-E-Tijarat Ko Shariyat Ke Sanche Mein Dhalein:
Kisi bhi karobar ko islami sanche mein dhalne ke liye darjzail baton ka khayal rakhna zarori hai.
1. Karobar-o-Tijarat mein sarmayakari ka paisa
100% halal ho. Sodi qarze , behan bhaion ki meeras
ka dabaya howa maal, isi tarha har tarha ke haram maal
ka karobar-o-tijarat mein lagana darust nahi.
2. Karobar-o-Tijarat ki noiyat halal ho. Sharab aur
nasha aawar ashiya, sodi lain dain, dhoka dahi,
fahashi uryani, mosiqi aur nach gane wagaira par
mabni karobar-o-tijarat darust nahi.
3. Partnership ki soorat mein shiratdari ya mazarbart
ke islami usoolon ka khayal rakha jaye.
4. Karobar se mutaliq hakoomti qawaneen ki pabandi ki jaye.
5. Bankon aur deegar maliyati idaron ke sath muamlat
shariyat ke mutabiq hon.
6. Company ke apne mulazim ke sath, isi tarha kharidar aur farokhtkuninda ke sath muamlat shariyat ke mutabiq honge.
7. Tasheer ke sirf jaiz zaraye istamal kiye jaein.
Jandar ki tasweer, orat ki numaish, rishwat-o-deegar
najaiz zaraye ikhtiyar karna darust nai.
8. Parde ka khas khayal rakha jaye. Be pardgi aur
na mahram mard orat ka be muhaba milna julna
aur makhloot mahol darust nahi.
9. Karobar-O-Tijarat ki zakat hisab laga kar pori pori ada ki jaye.
10. Bawaqt-e-Zaroorat karobar tijarat se shari ahkamat kisi mustanad mufti ya darul afta se maloom kiye jaein.
No comments