Breaking News

Islamic Quote | Marny Ky Baad Aamaal Ki Qadar

Description:
Jab kisi insan ki mout ka waqt qareeb ata hy to wo shakhs Allah Pak sy dua karta hy ky aey Allah mujhy thori si mohlat aur dy ky main kuch naik kam kar sakun teri raah mein sadqa dy sakun. Lekin Allah farmata hy ky hum ny tumhen zindgi isi liye di hy ta ky hum jan saken ky kon naik amal ly kar ata hy aur kon bury. Jab ye zindgi di thi tab ye amal karna thy. Aur jab insan qabar mein chala jata hy aur us ka nama e aamal band ho jata hy to usy naikion ki bohat zarurat hoti hy. Aur wo Allah Taala sy faryad karta hy ky dunia mein jis ky liye main ny tujhy bhula dia tha aj wo sab kuch mujh sy ly ly bas mujhy chor dy. Wo maal jisy kamany mein sari zindgi guzar di, mery bety meri bv meri maa mera bhai mera pura khandan mery badly jahanum mein dal dy aur mujhy qabar ky azab sy bacha ly, jis ki waja sy main haram halal bhol gaya tha. Lekin Allah Pak farmayen gy bus jo amal tu kar ky aya usi ka hisab ho ga. Aur tujhy hi ye azab bhugatna ho ga. Allah Pak hum sab ko qabar ky azab sy bachaye. Ameen

Islamic Quote | Marny Ky Baad Aamaal Ki Qadar


Hadees e Mubarka Hy:
Rasool Allah s.a.w.w. aik qabar ky pas sy guzry aur pucha:
 "Ye qabar wala kon hy?"
Sahaba Kiram R.A. ny arz kia ky ye fulan shakhs hy.
Aap s.a.w.w. ny irshad farmaya:
"(Qabar mein pary) is shakhs ko 2 rakaten parhna 
tumhari baqya zindgi sy zayada mehboob hy."


No comments