Islamic Urdu Quotes | Maqrooz Ka Janaza
Description:
Insan par 2 qism ky haqooq hen. Aik haqooq ullah aur dusry haqooq ul ibad. Haqooq ullah ky bary mein Allah Pak ny farma dia ky jo koi bhi mujh sy sachy dil sy toba kary ga main usy muaf kar don ga. Lekin haqooq ul ibad ki mafi Allah ny insan ky hi hath mein rakhi hy. K jab tak wo insan usy muaf nahi kary ga tab tak Allah bhi muaf nahi kary ga. Qarz bhi haqooq ul ibad mein sy hy. Agar ye ada na kia gaya to us ky marny ky bad us ka janaza bhi nahi parhna chahye. Jesa ky Nabi s.a.w.w. ny kia. Kion ky haqooq ul ibad jab tak ada nahi hon gy tab tak koi nabi ya wali bhi us shakhs ki maghfirat nahi kara sakty. Aur aj kal to hum ny ye aqeeda apna lia hy ky jab tak ye wali humari maghfirat nahi karaye ga wo khud bhi jannat mein nahi jaye ga. Ya hum to fulan nabi ya wali ki chadar pakar lein gy aur pul sirat par kar len gy. Dosto aisa qatai nahi hy humen har hal mein dono haqooq pury karny hen usi ky bad humari nijat mumkin hy.
Islamic Urdu Quotes | Maqrooz Ka Janaza
Hadees e Rasool S.A.W.W. Hy:
Nabi Akram S.A.W.W. ki khidmat mein janaza laya
gaya ta ky Aap s.a.w.w. nimaz e janaza parha den.
Aap s.a.w.w. ny daryaft farmaya: "Kia is mayyat par
kisi ka qarz tha?" Logon ny kaha ky nahi. Aap s.a.w.w.
ny nimaz e janaza parha di.
Phir aik aur janaza laya gaya. Aap s.a.w.w. ny yahi
daryaft farmaya: "Is mayyat par kisi ka qarz tha?"
Logon ny kaha ky han is par qarz tha. Ye sun kar
Aap s.a.w.w. ny irshad farmaya: "Phir apny sathi ki
tum hi nimaz parh lo."
Abu Qatada R.A. ny arz kia: Ya Rasool ul Allah s.a.w.w.
in ka qarz main ada kar don ga. (Tab ja kar) Aap s.a.w.w.
ny in ki nimaz e janaza parhai.
No comments