Breaking News

Islamic Quotes In Urdu | Gheebat Ka Anjaam

Description:
Aj kal ky no jawanon ko agar gosht khany ko kaha jaye to wo ajeeb ajeeb munh banaty hen aur kehty hen ky hum to vegeterian hen. Jab ye log jo halal chez hy us ka gosht khany sy itni karahat karty hen to jo Allah ny haram kia hy yani insan ka gosht wo kesy kha lety hen. Allah ky Rasool s.a.w.w. ny irshad farmaya ky jo gheebat karta hy wo apny murda bhai ka gosht khata hy. Lekin hum sochty hi nahi aur har kisi ki gheebat karty rehty hen. Har aik larki ho ya larka aik dusry par buri nazar dalten hen aur aik dusry ki izaton sy khelty hen aur kisi ko dar hi nahi hy khof hi nahi hy. Ye post ap ko in kamon ky anjam sy aagah kar rahi hy, aur hum umeed karty hen ky ap ainda in gunahon sy bachen gy.

Islamic Quotes In Urdu | Gheebat Ka Anjaam


Rasool ul Allah S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Jab mujhy mairaj karwai gai to mera guzar kuch aisy 
logon ky pas sy hua jin ky nakhun taamby ky thy wo 
un sy apny chehron aur seenon ko buri tarah nouch rahy
 thy. Main ny sawal kia: Aey Jibraeel A.S! ye kon log hen?
Jibraeel A.S. ny jawab dia:
Ye wo log hen jo logon ka gosht khaty hen (yani gheebat
 karty hen) aur un ki izzaten pamal karty hen.


No comments