Quotes Of Muhammad S.A.W.W. In Urdu | Wallpapers
Description:
Aik hadees mein hy ky imaan lany ky bad sab sy bari naiki Allah ki makhlooq ko aram pohnchana hy. Is hadees mein bhi aik shakhs ki maghfirat sirf itni si baat py ho gai ky us ny aik kutty ko pani pila kar Allah ki makhlooq ko aram pohnchaya. Aik aur hadees mein ata hy ky aik aurat ny billi ko bandh kar rakha aur us par zulm kia us ki is harkat ki waja sy Allah ny usy jahanum ki aag ka azab dia. Jan lo ky Allah ki tamam makhlooqat ka khayal rakhna hum par farz hy aur isi mein humari nijaat hy. Agar kisi bhi makhlooq ko insan ho ya janwar tang kia jaye ga to Allah humen azab dy ga. Allah Pak humen makhlooqat ko aram pohnchany ki tofeeq dy aur humen jahanum ky azab sy bachaye. Ameen
Quotes Of Muhammad S.A.W.W. In Urdu | Wallpapers
Rasool ul Allah S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Aik shakhs ny aik kutty ko dekha jo piyas ki shiddat ki
waja sy geeli mitti chat raha tha. Us shakhs ny apna
moza lia aur us mein paani bhar bhar kar kutty ko
pilany laga, yahan tak ky us ko khoob sairab kar dia.
Allah Subhan Hoo Wataala ny us shakhs ky kaam ki
qadar ki aur usy jannat mein dakhil farma dia.
No comments