Breaking News

Nabi S.A.W.W. Quotes In Urdu | Raston Mein Qaza e Hajat Ki Mumaniat

Description:
Aik mash'hoor kahawat hy ky kisi ny kutty sy pucha ky tum gandgi ya koory ky dhair par hi peshab kion karty ho kahin aur kion nahi. Aur tum faqeer par kion bhonkty ho? Kutty ny bara acha jawab dia ky gandgi ki jaga koi nimaz nahi parhta main is liye wahan peshab karta hon aur jagah is liye nahi karta ky shayad koi momin yahan sajda kar ly. Faqeer par is liye bhonkta hon ky wo khaliq ko chor kar makhloq ky agy hath phelata hy. Raasty, guzar gah aur saya daar jagah par peshab ya pakhana karny ki isi liye mumaniat ayi hy ky raasty ya guzar gaah mein sy log jab guzren to unhen gandgi sy na guzarna pary aur wo asani sy guzar saken. Any jany walon ko koi tangi na ho. Aur saya daar jagah sy is liye mana kia gaya hy ky garmi ky mosam mein koi musafir chaon ki talash mein rehta hy agar us jagah par gandgi ho gi to us musafir ko takleef ho gi pata nahi wo kab sy chala hua hy, pata nahi us ny kab pani pia ho ga, usy aram ki zarurat ho gi. Is liye hamen chahye ky hum aisi jagahon py gandgi na phailayen jin sy log hum par lanat karen.

Nabi S.A.W.W. Quotes In Urdu | Raston Mein 
Qaza e Hajat Ki Mumaniat


Rasool ul Allah s.a.w.w. Ny Irshad Farmaya:
"Lanat (ka sabab ban'ny) waly 2 kamon sy bacho.
Sahaba R.A. ny pucha: Ya Rasool ul Allah s.a.w.w! 
wo 2 kam kon sy hen?
Aap s.a.w.w. ny irshad farmaya:
1- Raasty o guzar gaah mein paishab pakhana karna
2- (Isi tarah) Saya daar jaga mein paishab pakhana karna."

No comments