Darood Shareef Ki Fazeelat l Islamic Urdu Quotes
Description:
Hey guys, on this beautiful day of jumah I want to share the quotes of Prophet Muhammad S.A.W.W. about jumah. Aik hadees mein hy ky dinon ka sardar jumah ka din hy aur is post mein sab sy afzal din bhi jumah ko bataya gaya hy. Nabi Pak S.A.W.W. par darood parhny ki bohat fazeelat ayi hy. Aur is hadees mein to wazeh hukm hy ky jo dinon mein sab sy afzal hy us din mein jo behtareen amal aur sunnat ky ain mutabiq hy wo Aap S.A.W.W. par kasrat sy darood pak parhna hy. Aik hadees mein aya hy ky jo shakhs Nabi S.A.W.W. par aik bar darood parhta hy to ALLAH TAALA us shakhs par 10 rehmaten nazil karty hen, us ky 10 darjat buland hoty hen, aur us ky 10 gunah mita diye jaty hen. Is afzal aur mubarak din mein kasrat sy darood pak parhny ko apna mamool bana len.
Islamic Urdu Quotes- Darood Shareef
Afzal Din Ka Behtareen Amal:
Nabi Akram S.A.W.W. ny farmaya: "Tumhary dinon mein
sy afzal din jumah ka din hy, pas jumah ky roz mujh par
kasrat sy darood shareef parha karo.
No comments