Islamic Urdu Quotes | Yahood, Hanood, aur Nasara ki Naqqali!
Description:
Assalam o Alaikum dosto, aik hadees mein Nabi S.A.W.W. ny musalmanon ko dusry mazahib ki mushabihat sy mana karty huye farmaya ky jo shakhs jis qaum ky mushabeh hoga us ka anjam bhi usi jesa ho ga. Aur hum sab janty hen ky islam ky ilawa kisi bhi mazhab ka anjam kia hy. Is hadees mein humary pyary Nabi S.A.W.W. ny 1400 sal pehly humari is halat ki paisheen goi kar di thi ky musalman bhi aik din yahood o nasara ki pairvi karen gy. Jesa ky is hadees mein bayan hua ky goah ky sorakh men jayen gy matlab moat ki taraf jayen gy to tum bhi usi taraf lapko gy. Aj ky naam nihad musalman ko dekh len wo april fool mana ky logon ko bewakoof banata hy, basant ki dor ki wajah sy kitny log hath katwa lety hen, new year manany ki khushi men one wheeling karty huye kitny larkon ki jan jati hy, velentine day ky moqa par kitny gharon ki izat ko sar e bazar uchal dia jata hy. Khud bhi in islam kush hathkandon sy bachen aur apny azizon ko bhi bachayen.
Islamic Urdu Quotes | Yahood, Hanood Aur
Nasara ki Naqqali!
Rasool ul ALLAH S.A.W.W. ny irshad farmaya:
"Tum zarur agli ummaton ki aadaat o atwar ki baalisht
dar baalisht aur hath dar hath pairvi karo gy. Hatta ky
agar wo goah(chipkali ki nasal ka aik janwar) ky sorakh
mein dakhil hon gy to tum bhi us mein dakhil ho gy.
Sahaba kiraam Razi ALLAH o Anhum ny pucha:
Ya Rasool ul ALLAH S.A.W.W. pehli ummaton sy ap
ki murad yahood aur eisayi hen? Aap S.A.W.W. ny
irshad farmaya: to phir aur kon?"
No comments