Dunia Mein Gunah Ky Nuqsan | Islamic Quotes

Description:
Insan aksar o baishtar gunah dunia sy chup kar karta hai. Lekin wo ye bhool jata hai ky us ka Malik to usy har waqt, har jaga aur har surat mein dekh raha hai. Gunah kesa bhi ho us ka anjam bohat bura hota hai. Akhirat mein to us gunah ki jo saza milni hai so milni hai lekin Allah pak us jurm ki saza usy dunia mein bhi dety hen. Yahan par kuch aisy hi nuqsanat ko wazeh kia gaya hai jo insan ko gunah karny ky bad dunia mein hi bhugatny party hen. Jaisa ky us ki umar aur rizq sy barkat ka khatam hona, dil ka sakht aur bigarna waghaira. Allah Pak humen tamam gunahon sy mehfooz rakhy. Ameen Suma Ameen

Dunia Mein Gunah Ky Nuqsan | Islamic Quotes


Daily Islamic Quotes:
1> Waqt ka ziya hota hai.
2> Duayen qabool nahi hotin.
3> Dil sakht aur bigar jata hai.
4> Naikion ki taufeeq khatam ho jati hai.
5> Aqal mein fatoor ajata hai.
6> Haq bat ko aqal tasleem nahi karti.
7> Umar aur rizq mein barkat khatam ho jati hai.
8> Ilm sy mehroom kar dia jata hai.
9> Naikion aur naik logon sy wehshat hoti hai.
10> Zilat o ruswai taari kar di jati hai.


No comments