Breaking News

Quaid e Azam Aur Nazria Pakistan | Quotes About Pakistan

Description:
Quaid e azam aur tamam leadron ny pakistan banany ki koshish sirf is liye ki ky wo mazhabi azadi chahty thy, apny islam par karband rehna chahty thy jo us waqt hinduon aur angrezon ny mushkil bana dia tha. Chunky quaid e azam pakistan ky bani hen to un sy ye pucha jata ky ap jo alag mulk banayen gy aur ap us ky chalany waly hon gy to ap kis tarah sy hakoomat karen gy. Jaisa angraiz hakoomat kar rahy thy wesy ya apna koi tarz e amal nikalen gy. Tab quaid ny bohat hi khubsurat andaz mein sab ka munh band kar dia ky main alag mulk zaroor hasil kar raha hon lekin us ki hakoomat ky chalany ka qanoon banany ka koi ikhtiyar nahi. Kion ky hukm aur qanoon to us ka hai jo sab sy bara hai aur sab kuch janta hai. Jis ny apny sab ahkam apni kitab mein nazil farma kar humari rahnumai kar di. Ab jo bhi masla ho ga jo faisla chahye ho ga is kitab Quran majeed sy len gy kion ky ye akhirat tak mehfooz rahy gi.

Quaid e Azam Aur Nazria Pakistan | Quotes About Pakistan


23rd March:
1942 mein quaid e azam ny ye faisla kun tareekhi
 jumly irshad farmaye: "Mujh sy aksar pucha jata hai
 ky pakistan ka tarz e hakoomat kia ho ga? Pakistan
 ka tarz e hakoomat ka tayun karny wala main kon
 hota hon. Musalmanon ka tarz e hakoomat aaj sy 1300
 sal qabal Quran kareem ny wazahat ky sah bayan
 kar dia tha. Alahamdulillah, Quran majeed humari
 rehnumai ky liye mojod hai aur qayamat tak
 mojod rahy ga.


No comments