Cheenk Ky Aadab | Muhammad S.A.W.W. Quotes & Sayings
Description:
Islam aik aisa mazhab hai jis mein insan ki har choti sy choti aur bari sy bari bat ko zair e ghor laya gaya hai. Aur Allah ky Rasool s.a.w.w. ny har aik bat ko khud amal kar ky ya apny sahaba sy amal karwa kar hum ko har aik baat ka ilm diya hai. Abu huraira r.a. ki is riwayat mein cheenk any ky bary mein Nabi s.a.w.w. ka tarz e amal bayan kia hai. Kion ky har insan kabhi na kabhi cheenkta hai to usy kis tarah cheenkna chahye ye humary Rasool s.a.w.w. ny kar ky bataya hai ky jab cheenk aye to kapra ya hath nak ky agy kar ky munh ko dhak lo aur cheenkny ki awaz bhi halki yani past rakho. Baaz log jan bujh kar zor zor sy cheenkty hen wo Allah ky mehboob ki sunnat ky khilaf karty hen, aur sunnat ky khilaf amal par jahanum wajib ho jati hai, to wo log apni is rawish ko badal dalen to behtar hoga. Allah pak hum sab ko sunnat par puri tarah amal karny ki taufeeq ata farmaye.
Cheenk Ky Aadab | Muhammad S.A.W.W. Quotes & Sayings
Hadees e Maqbool:
Abu huraira r.a. farmaty hen ky Rasool Allah s.a.w.w.
cheenk ky waqt apny chehry ko kapry ya dast e mubarik
sy dhank liya karty thay aur awaz ko past farma
liya karty thay.
No comments