Gunahgar Ki Tauba | Muhammad S.A.W.W. Quotes & Sayings
Description:
Allah Rabbul Izzat apny bandon par itny meharban hein ky din rat mein gunah karny waly ky liye alag alag waqt mein apni rehmat ka zikar kar ky usy mayusi sy nikalty hen. Allah ky mehboob s.a.w.w. ny farmaya raat waly ky liye din mein shafqat ka dar khul jata hai ky wo mafi mang ly aur din mein gunah karny waly ky liye raat mein shafqat ka dar khol dia jata hai ky wo apny gunahon ki muafi mang kar rehmat ky saye mein dakhil ho jaye. Allah Pak rozana aisy karty hen aur karty rahen gy yahan tak ky qayamat ka sura talu ho jaye jo ky maghrib sy talu ho ga aur mashriq mein gharob ho ga. Kitna meharban hai humara Rab lekin hum us ki rehmat sy mayus ho jaty hen aur gunah par gunah karty jaty hen ky ab itny gunah ho gaye ab Rab muaf nahi kary ga. Allah Pak farmaty hein ky agar tum ny zameen aur asman bhi gunah sy bhar diye to agar main chahon tab bhi tumhen muaf kar sakta hon. Allah pak humen gunah sy bachaye aur apni rehmat ky saye mein rakhy. Ameen
Gunahgar Ki Tauba | Muhammad S.A.W.W.
Quotes & Sayings
Rasool Allah S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Bila shuba Allah Azwa jal apna dast e shafqat raat ko
phailaty hein ta ky din ky gunah gar ki tauba qabool
karen aur din ko apna dast e shafqat phailaty hein ta
ky Raat ky gunah gar ki tauba qabool karen, yahan
tak ky (qayamat ki sab sy akhiri alamat zahir ho
aur wo ye ky) suraj maghrib sy talu ho jaye.
No comments