Fazool Kharchi In Islam | Quotes Of Muhammad S.A.W.W.
Description:
Allah Taala ko momin bandy ka apni zaat par, apni family par, apny rishte daron par, apny doston par, aur dusry musalmanon par Allah ka dia hua maal kharch karna bohat pasand hai. Lekin ye kharch had sy ziada bhi na ho ky ap ki amdani hazar rupey hon aur ap kharcha do hazar kar do to ap mohtaji aur muflisi ka shikar ho jayen gy kion ky ap fazool kharchi karny lag gaye hen. Aur na itna kam kharch karo ky ap kanjusi ki hadon ko chu len. Bal ky darmiani raah apnayen. Jais ky surah humaza mein farmaya gaya ky halakat hai aisy insan ky liye jo apny paisy ko gin gin kar bacha kar rakhta hai. Isi liye farmaya gaya ky kharch karo kharch karna acha hai lekin by ja kharch na karo ky ye nuqsan deh hai. Allah pak tamam musalmano ko fazool kharchi sy door rakhy.
Fazool Kharchi In Islam | Quotes Of Muhammad S.A.W.W.
Nabi Kareem S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Khao piyo aur dusron par sadqa karo aur libas zaib tan
karo bashart ye ky israf (fazool kharchi) aur
takabbur ki amaizash na ho.
No comments